Wednesday, January 6, 2010

My favorite "Milli Naghma"

Aey watan hum hain teri sham'ma ke parvano'n main
Zindagi hosh main hai josh hai imano'n main!

Dil le ushaak ki maanind ye taptay maidan
Ye lachaktay huey jungle yee phiraktay armaan!
Ye paharo'n ki ghataon main jawani ki uthaan,
Ye machaltay huey daryaon main angrai ki shaan!
Kitnay roshan hain diey teray shabistaano'n main!

Teray mazdoor ki ankhon k shararay le ker,
Teray dehkan k mathay k sitaray le ker
Chandni boe'ein ge jhulsay huey maidaan'on main!

Hum tujhe aag ka daria nahin ban'nay dein ge
Tujhe nafrat ka tamasha nahin ban'nay dein ge!
Tujhe ko paa lein ge...
Tujh ko paa lein ge Mohabbat k gulistaano'n main!

http://www.youtube.com/watch?v=6t7zHEB2Tc8&feature=related

No comments: